koi kapDe pe buTe kaDhe koi phul banae
koi apna baalak pale koi ghar ko sajae
koi bas aawaz ke bil par bujhte dip jalae
koi rangon se kaghaz andar jiwan jot jagae
koi patthar inTen joDe taj-mahal banae
koi mimbar upar kuke pap agni se Darae
koi ghunghru bandh ke nache ang kala dikhlae
koi dharti kyari sinche phal-phulwari ugae
koi miTTi gundhe us ko mans saman banae
koi baiTha aankhen miche gunge shabd bulae
ek hi sab ko rog hai par tu har man ko barmae
kaise koi duje ko nit apna aap dikhae
Nazm
Abadi masala
Partav Rohila