ye kaisi lazzat se jism shal ho raha hai mera
ye kya maza hai ki jis se hai uzw uzw bojhal
ye kaif kya hai ki sans ruk ruk ke aa raha hai
ye meri aankhon mein kaise shahwat-bhare andhere utar rahe hain
lahu ke gumbad mein koi dar hai ki wa hua hai
ye chhuTti nabz, rukti dhaDkan, ye hichkiyan si
gulab o kafur ki lapaT tez ho gai hai
ye aabnusi badan, ye bazu, kushada sina
mere lahu mein simaTta sayyal ek nukte pe aa gaya hai
meri nasen aane wale lamhe ke dhyan se khinch ke rah gai hain
bas ab to sarka do ruKH pe chadar
diye bujha do
Nazm
Abad
Fahmida Riaz