maut kis rah par khaDi meri rah dekh rahi hai 
abhi abhi main ne hawa ki an dekhi chadar mein suraKH kiya hai 
aur bahut upar ke baadalon ko chhalni kar diya hai 
zamin bhar ki wo sari miTTi 
jo an-ginat dafn hone walon 
ki kimiya se bani hai 
aur chaaron dishaon mein 
an-ginat badan jalon ki chitaon ki jo rakh bani hai 
kahan le jaegi mujhe 
main to ab wo hun hi nahin jo kabhi hua karta tha 
ab na to mein kabhi sota hun aur na kabhi jagta hun 
main na panw chalta hun na main qadam-sakin hun 
maut mere panw ke bina chal sakti hai 
maut mere qadam ke bina sakin ho sakti hai 
ab ghilaf-e-zindagi ki koi bhi ek parat rah gai ho 
to use zindagi se haTa diya jae 
jab uqab unchi uDan par ho 
to us ki aankh mein koi sui chubhoi nahin ja sakti 
maut ne mujhe uqab bana diya hai 
ya shayad mujhe kisi farishte mein tabdil kar diya hai 
ab mujhe zamin par ya zamin ki fuzul duniya ki sath par DhunDa na jae 
main ab kisi ki dastaras mein nahin ho
        Nazm
Abad
Ahmad Hamesh

