kitne manzar TuT ke girte rahte hain
in aaankhon se
yaKH-basta patalon mein
kitne dukh har lamha lipTe rahte hain
ujle panw ke chhaalon se
kin yaadon ka bojh uThae
phirte hain
hum zehnon mein
jo baqi nahin hawalon mein
chandni jaise kitne hi jism
Dubte Dubte chiKH rahe the
miTTi ke kachche pyalon mein
aur ab to kuchh aisa hai
jin ki KHatir hum ne sari umr ganwai
yaad nahin wo aae
guzre salon mein
Nazm
Ab to kuchh bhi yaad nahin
Faheem Shanas Kazmi