اردو हिंदी
Ab so jao | Shaahi Shayari
ab so jao

Nazm

Ab so jao

Fahmida Riaz

;

ab so jao
aur apne hath ko mere hath mein rahne do

tum chand se mathe wale ho
aur achchhi qismat rakhte ho

bachche ki sau bholi surat
ab tak zid karne ki aadat

kuchh khoi khoi si baaten
kuchh sine mein chubhti yaaden

ab inhen bhula do so jao
aur apne hath ko mere hath mein rahne do

so jao tum shahzade ho
aur kitne Dheron pyare ho

achchha to koi aur bhi thi
achchha phir baat kahan nikli

kuchh aur bhi yaaden bachpan ki
kuchh apne ghar ke aangan ki

sab batla do phir so jao
aur apne hath ko mere hath mein rahne do

ye ThanDi sans hawaon ki
ye jhilmil karti KHamoshi

ye Dhalti raat sitaron ki
bite na kabhi tum so jao

aur apne hath ko mere hath mein rahne do