(1)
garm-joshi
ab suraj sar par aa dhamkega
ThanDa loha chamkega
aur dhup jawan ho jaegi
saThiyae hue farzanon par
ab zist giran ho jaegi
har asl ayan ho jaegi
ab KHub hansega diwana
ab aag bagule nachenge
sab langDe lule nachenge
girdab-e-bala ban jaenge
rondi hui miTTi ke zarre
tufan-ba-pa ban jaenge
sahra dariya ban jaenge
ab KHub hansega diwana
ab susti jal bichhaegi
ab dhons na chalne paegi
mazduron aur kisanon par
ab sukha KHun nichoDne wale
roenge nuqsanon par
in kheton in khaliyanon par
ab KHub hansega diwana
ab pili dhat ki bimari
phaila na sakenge biyopari
lohe ka loha manenge
sone ki gahri kanon mein
so jaana behtar jaanenge
dar dar ki KHak na chhanenge
ab KHub hansega diwana
ab KHun ke sagar kholenge
insan ke jauhar kholenge
chaDh jaegi tap sahraon ko
uTThegi umaD kar lal aandhi
pi jaegi dariyaon ko
bandhega tund hawaon ko
ab KHub hansega diwana
har zulf se bichchhu lapkenge
aankhon se sharare Tapkenge
sayyaadon husn-shikaron par
ghusse ka pasina phuTega
moti ban kar ruKHsaron par
is dhup mein chand sitaron par
ab KHub hansega diwana
ab dudh na dengi bhainsen gaen
uf uf karne lagengi maen
bachche mam mam chiKHenge
aur unghne wale nikhTu shauhar
aql-e-mujassam chiKHenge
sab darham-barham chiKHenge
ab KHub hansega diwana
ab KHanqahon ki murda udasi
roz-e-azal ki bhuki pyasi
jhumegi mai-KHanon par
ab saqi mughche pir-e-mughan
bechenge waz dukanon par
in zahr bhare paimanon par
ab KHub hansega diwana
zor-awari se kamzoron ki
ab jeb kaTegi choron ki
aur manDi sahu-karon ki
ab bhuki hu-haq sair karegi
manDiyon aur bazaron ki
gat dekh ke duniya-daron ki
ab KHub hansega diwana
jina dil gurda DhunDega
har zinda murda DhunDega
koi kona-khadra tah-KHana
ab har jangal mein mangal hoga
har basti mein virana
ek nara laga kar mastana
ab KHub hansega diwana
(2)
sard-mehri
ab jaDa jhanDe gaDega
aur fil-e-falak chinghaDega
ab baadal shor machaenge
ab bhut falak par chaDh dauDenge
dharti ko dahlaenge
hansne ke maze ab aaenge
ab KHub hansega diwana
aiwan karenge bhaen bhaen
phuns ki jhonpaDiyon mein hawaen
saen saen gunjengi
is gunj mein bhuke nangon ki
sunsan sadaen gunjengi
viran saraen gunjengi
ab KHub hansega diwana
ab bijli ke koDon se hawa
shamshir-ba-kaf zanjir-ba-pa
lohe ke rathon ko hankenge
ek ek dhuen ke mahmil se
sad husn ki malika jhankegi
ab aag angare phankegi
ab KHub hansega diwana
ab ThanDi aahon ke parnale
pale aafat ke par kale
kande tole barsenge
ab aahan ThanDa paD jaega
aahan ke gole barsenge
har sar par ole barsenge
ab KHub hansega diwana
taKHrib ki topen chhuTengi
tamir ki kaliyan phuTengi
har goristan-e-shahi mein
baala-e-hawa zer-e-dariya
ghul hoga murgh o mahi mein
is nau-abaad tabahi mein
ab KHub hansega diwana
ab nagin banbi garmaegi
sanp ki lali lahraegi
kale aatish-danon mein
danaiyan kenchuli badlengi
shahron ke bandi-KHanon mein
aur dur khule maidanon mein
ab KHub hansega diwana
bhus KHali peT mein bhar na sakega
koi tijarat kar na sakega
sukDi sukDi khaalon ki
ab manDh bhi jae to baj na sakegi
naubat paise walon ki
bekari par dallalon ki
ab KHub hansega diwana
ab dal na jagiron ki galegi
aag magar din raat jalegi
chamDe ke tannuron mein
ab kal paDega ghalle ka
beyopariyon be-maqduron mein
aur peT bhare mazduron mein
ab KHub hansega diwana
ab gaDha pasina bunne wale
oDhe phirenge shaal do-shaale
muft na jhulen jhulengi
phule hue gal ab pachkenge
pichki hui tonden phulengi
sab aqlen chaukDi bhulengi
ab KHub hansega diwana
Nazm
Ab KHub hansega diwana
Hafeez Jalandhari