ab bhi raushan hain wahi dast hina-aluda
reg-e-sahra hai na qadmon ke nishan baqi hain
KHushk ashkon ki nadi KHun ki Thahri hui dhaar
bhule-bisre hue lamhat ke sukhe hue KHar
hath uThae hue aflak ki jaanib ashjar
kaamrani hi ki ginti na hazimat ka shumar
sirf ek dard ka jangal hai faqat hu ka dayar
jab guzarti hai magar KHwabon ke virane se
ashk-aluda tabassum ke charaghon ki qatar
jagmaga uThte hain gesu-e-saba-aluda
Toliyan aati hain nau-umr tamannaon ki
dasht-e-be-rang-e-KHamoshi mein machati hui shor
phul mathe se baraste hain nazar se tare
ek ek gam pe jadu ke mahl bante hain
naddiyan bahti hain aanchal se hawa chalti hai
pattiyan hansti hain uDta hai kiran ka sona
aisa lagta hai ki be-rahm nahin hai duniya
aisa lagta hai ki be-zulm zamane ke hain hath
bewafai bhi ho jis tarah wafa-aluda
aur phir shaKHon se talwaren baras paDti hain
jabr jag uThta hai saffaki jawan hoti hai
sae jo sabz the paD jate hain pal bhar mein siyah
aur har moD pe ifriton ka hota hai guman
koi bhi rah ho maqtal ki taraf muDti hai
dil mein KHanjar ke utarne ki sada aati hai
tirgi KHun ke ujale mein naha jati hai
sham-e-gham hoti hai namnak o ziya-aluda
yahi mazlumon ki jit aur yahi zalim ki shikast
ki tamannaen salibon se utar aati hain
apni qabron se nikalti hain masiha ban kar
qatl-gahon se wo uThti hain duaon ki tarah
dasht o dariya se guzarti hain hawaon ki tarah
mohr jab lagti hai honTon pe zaban par tale
qaid jab hoti hai sine mein dilon ki dhaDkan
ruh chiKH uThti hai hilte hain shajar aur hajar
KHamushi hoti hai kuchh aur nawa-aluda
sar-kashi DhunDhti hai zauq-e-gunahgari ko
KHud se sharminda nahin auron se sharminda nahin
ye mera dil ki hai masum o KHata-alud
Nazm
Ab bhi raushan hain
Ali Sardar Jafri