mere din sairab hue hain
ninden ghor samundar jaisi
meri aankh se lipTi hain
subh ki saat aazadon ka git bani hai
sath chali hai sayyahon ke raste par
main ek sawar
sada ke rath par baiTh ke jaun
suraj-mukhi ke jalse mein
baat karun tyauhaaron ki
jo mere wasl ke darwazon tak aa pahunche hain
meri umr ke khaliyanon mein
jin ki faslen nae nisab se utri hain
baat karun us nisbat ki
jo phul utarte mausam ki poshak mein aai
tere dil mein mere dil mein
kaise apni bhasha se main shahad banaun
kaise dudh kashid karun
un baaton se jo sab ki jaani-bujhi hain
mere din sairab hue hain
jaise suraj aur kabutar uD jate hain
apne apne Darbon se
jaise pani bah jata hai dariyaon ke aangan se
aise hi mere din kya malum?
kahan tak jaen
kin rishton mein jagna chahen
Nazm
Aazadon ka git
Asghar Nadeem Sayed