zindagi ki chaTTanon se
sazaon ka samundar Takraata hai
aur safed chaTTanen samundar ki kali kar dene wali taqat se be-KHabar
KHwabon ke ghurur se labrez hain
pani chaTTanon mein raste banata rahta hai
aur aise mein koi nahin jaanta
hum aazadi ke jog mein
tanhai ke kis kis jangal mein bhaTke hain
aazadi ke libas ko apna badan samajh kar
wahshi sannaTon ki aamad se be-KHabar
hum kahan kahan bhaTke hain
aur jab libas phaT jate hain
hum in chiThDon ko apne be-libas tanhaiyon mein
yun chhupa lete hain
jaise zinda man ki aankhen murda bachche ki aaKHiri didar ko chhupa leti hain
to aise mein samundar sailab ho jata hai
aur safed chaTTanen
sazaon mein dafn
apne alawa sab kuchh bhul jaane par majbur ho jati hain
hum sailab mein na bahe jaane ka dukh liye
nindon tak aa jate hain
aur hum chaTTanon se guzarne wale pani ke raste band nahin kar sakte to
hans dete hain
aur nindon ki bhik jama karte karte
wahshi sannaTon ki aamad ke haul mein
hum sona bhul jate hain
Nazm
Aazadi se nindon tak
Tanveer Anjum