hum aazadi ke diwane ye duniya farzanon ki
is papi sansar mein baba kaun sune diwanon ki
masjid mandir sab ke andar raj ghulami karti hai
daulat le kar nam KHuda ka ghar ghar dharna dharti hai
koThi bangle gore sanpon ki ek aisi basti hai
jo bhaarat ke bhole-bhaale insanon ko Dasti hai
un se bach kar chalna baba ye qatil zahrile hain
surat ke mohan hain bhitar se sab nile pile hain
shaida hun aazadi ka aazad-nagar mein Dera hai
kya batlaun mere bhayya kaun jahan mein mera hai
wo mera jo aazadi ki zulfon ka diwana hai
wo mera jo sham-e-watan ka shaidai parwana hai
wo mera jo maut ke aage be-jigari se tanta hai
wo mera jo aap na ho kuchh jis ki sab kuchh janta hai
wo mera jo hanste hanste phansi par chaDh jata hai
wo mera jo maut se bhi do chaar qadam baDh jata hai
aazadi ke talib sun le maut hi meri manzil hai
tu duniya ka ban sakta hai mera banna mushkil hai
Nazm
Aazadi ke diwane
Anwar Sabri