shahr-e-la-makan se hun
jis mein ek makan mera
KHwab se ubharta hai
dudhiya sawera sa
dhyan mein nikharta hai
jo hadon se aari hai
intiha nahin rakhta
chaukhaTen dariche dar
kya guman mein aaen
(sehn aangan aur diwar ka KHayal hi be-kar)
chaar samt ki diwar
chahe kitni phaili ho
aap ka ahata hai
aap ka hai gheraw
kyun giraft mein aaun
kyun mujhe koi ghere
sirf ek KHwahish hai
be-hudud aazadi!
Nazm
Aazadi
Ehsan Akbar