اردو हिंदी
Aazadi-e-watan | Shaahi Shayari
aazadi-e-watan

Nazm

Aazadi-e-watan

Makhdoom Mohiuddin

;

kaho hindostan ki jai
kaho hindostan ki jai

qasam hai KHun se sinche hue rangin gulistan ki
qasam hai KHun-e-dahqan ki qasam KHun-e-shahidan ki

ye mumkin hai ki duniya ke samundar KHushk ho jaen
ye mumkin hai ki dariya bahte bahte thak ke so jaen

jalana chhoD den dozaKH ke angare ye mumkin hai
rawani tark kar den barq ke dhaare ye mumkin hai

zamin-e-pak ab napakiyon ko Dho nahin sakti
watan ki sham-e-azadi kabhi gul ho nahin sakti

kaho hindostan ki jai
kaho hindostan ki jai

wo hindi naujawan yani alam-bardar-e-azadi
watan ki pasban wo tegh-e-jauhar-dar-e-azadi

wo pakiza sharara bijliyon ne jis ko dhoya hai
wo angara ki jis mein zist ne KHud ko samoya hai

wo sham-e-zindagani aandhiyon ne jis ko pala hai
ek aisi naw tufanon ne KHud jis ko sambhaala hai

wo Thokar jis se giti larza-bar-andam rahti hai
wo dhaara jis ke sine par amal ki naw bahti hai

chhupi KHamosh aahen shor-e-mahshar ban ke nikli hain
dabi chingariyan KHurshid-e-KHawar ban ke nikli hain

badal di naujawan-e-hind ne taqdir zindan ki
mujahid ki nazar se kaT gai zanjir zindan ki

kaho hindostan ki jai
kaho hindostan ki jai

kaho hindostan ki jai