waqt ka bojh
pathrili chup
unche unche pahaD
main pahaDon ke daman mein phaili hui ghas par
patti patti ki tahrir paDhta hun asrar mein gharq hun
der se jhil ki aankh jhapki
na sahme hue par kahin phaDphaDae
na kaliyan hi chaTkin
na patte hile
har ghana peD nirwan ki aas mein gum hai
sukhi hui Tahniyan sab saliben hain
har ghaar jaise kisi jibrail-e-amin ke liye hai
kailash chup-chap hai
gunj hi gunj
be-lafz-o-mani faqat ek gunj
sari sachchaiyan
jhuT ki kokh se phuT kar
lahlahati hain, KHushbu luTati hain, phir jhuT hi ki taraf
lauT jati hain tum se mujhe
bhala kya gila
gunj hi gunj
be-lafz o mani faqat ek gunj
bansuri ki madhur tan gunji to aise laga
jaise mujh mein kisi ne
parinde ki manind par jhaD kar jhurjhuri li
jhaDiyon mein
pur-asrar si sarsarahaT
koi paigham, qadmon ki aahaT
nahin kuchh nahin
ek charwaha bheDon ka galla liye aa gaya
sabza-zaron pe masum bheDen baDhin
dekhte dekhte
patti patti ki tahrir
asrar sab char gain
Nazm
Aazadgi
Qazi Saleem