wo marne pe raazi nahin tha
baDa DhiT tha
shahi farman par
us ne apni zaban kaT li thi
wo aankhon se andha tha kanon se bahra
use apne chaaron taraf dekhne ki ijazat nahin thi
samaat pe pabandiyan thin
magar shahi dastur mein
zikr aisi kisi baat ka bhi nahin tha
wo aazad tha apne ghar ki hadon tak
badan ki tahon tak
wo aadha-adhura tha dil us ka
gahre azabon se KHali nahin tha
suna hai: wo is par bhi
marne par raazi nahin tha
wo KHush tha ki us mulk ke shahi dastur mein
us ko aazad likkha gaya tha
Nazm
Aazad shahri: ek taaruf
Kumar Pashi