KHabar nahin tum kahan ho yaro
hamari uftad-e-roz-o-shab ki
tumhein KHabar mil saki, ki tum bhi
rahin-e-dast-e-KHizan ho yaro
dinon mein tafriq miT chuki hai
ki waqt se KHush-guman ho yaro
abhi laDakpan ke hausle hain
ki be-sar-o-saeban ho yaro
hamari uftad-e-roz-o-shab mein
na jaane kitni hi bar ab tak
dhanak bani aur bikhar chuki hai
urus-e-shab apni KHalwaton se
sahar ko mahrum kar chuki hai
dahakte sahra mein dhup kha kar
shafaq ki rangat utar chuki hai
bahaar ka taziya uThae
nigar-e-yak-shab guzar chuki hai
umid-e-nau-roz hai ki tum bhi
bahaar ke nauha-KHwan ho yaro
tumhaari yaadon ke qafile ka
thaka hua ajnabi musafir
har ek ko aawaz de raha hai
KHafa ho ya be-zaban ho yaro
Nazm
Aawaz ke sae
Mustafa Zaidi