us ki aamad ke tasawwur se sambhalti aawaz 
us ki qurbat ki tamazat se pighalti aawaz 
subh-dam shoKH parindon ke chahakne ki sada 
band kaliyon ke nae rup ki khulti aawaz 
bahr-e-zaKHKHar ki aadat hai ye Thahra hua shor 
tez dariyaon ke pani ki machalti aawaz 
kohsaron ke chaTaKHne se garajne ki sada 
aur chashmon ki rawani se uchhalti aawaz 
gardish-e-KHun mein rawan dil ke dhaDakne ki sada 
ashk-e-KHun-nab ke andar se ubalti aawaz 
kar-KHanon ki mashinon ki milon ki aawaz 
gaDiyon tangon bason cyclion ki aawaz 
bahr-o-bar kuchh bhi na hote ye jahan kya hota! 
gar ye aawaz na hoti to yahan kya hota
        Nazm
Aawaz
Haris Khaleeq

