aawara-gard lamhe yun be-qarar bhaTken
jaise parind pyase diwana-war bhaTken
be-jaan-o-be-takallum ek aarzu hai tanha
jangal mein jaise koi viran si imarat
basti se dur jaise KHamoshiyon ka parbat
tane khaDa ho KHud ko jamid sadi ki surat
ehsas apni lau par yun tamtamae jaise
shoalon pe chal raha ho ek be-libas jogi
kahti hai aql hum ko jalwat-pasand rogi
kya sadhuon mein aisi jwala jagi na hogi
aksar sameTte hain bikhre hue junun ko
hum log aaj bhi hain kis darja na-mukammal
shaitan sifat sharare oDhe dhuen ke kambal
doshizgi gham ko jhulsaen jab musalsal
chinghaDti hain sansen sinon mein be-tahasha
jaise azim insan pamal ho gaya ho
jaise har ek luT kar kangal ho gaya ho
ek muKHtasar sa pal bhi sad sal ho gaya ho
ajgar gupha mein leTa shiriniyan chabae
aur hum ye sukhe patte ab tak baTorte hain
Nazm
Aawara-gard lamhe
Chandrabhan Khayal