KHub hans lo meri aawara-mizaji par tum 
main ne barson yun hi khae hain mohabbat ke fareb 
ab na ehsas-e-taqaddus na riwayat ki fikr 
ab ujalon mein na khaungi main zulmat ke fareb 
KHub hans lo ki mere haal pe sab hanste hain 
meri aankhon se kisi ne bhi na aansu ponchhe 
mujh ko hamdard nigahon ki zarurat bhi nahin 
aur shoalon ko baDhate hain hawa ke jhonke 
KHub hans lo ki takalluf se bahut dur hun main 
main ne masnui tabassum ka bhi dekha anjam 
mujh se kyun dur raho aao main aawara hun 
apne hathon se pilao to mai-e-talKH ka jam 
KHub hans lo ki yahi waqt guzar jaega 
kal na waraftagi-e-shauq se dekhega koi 
itni masum latafat se na khelega koi 
KHub hans lo ki yahi lamhe ghanimat hain abhi 
meri hi tarah se tum bhi to ho aawara-mizaj 
kitni banhon ne tumhein shauq se jakDa hoga 
kitne jalte hue honTon ne liya hoga KHiraj 
KHub hans lo tumhein bite hue lamhon ki qasam 
meri bahki hui baaton ka bura mat mano 
mere ehsas ko tahzib kuchal deti hai 
tum bhi tahzib ke malbus utaro phenko 
KHub hans lo ki mere lamhe gurezan hain ab 
meri rag rag mein abhi masti-e-sahba bhar do 
main bhi tahzib se bezar hun tum bhi bezar 
aur is jism-e-barahna ko barahna kar do
        Nazm
Aawara
Akhtar Payami

