kitni yaaden
jala chuka hun main
kitne arman
bujha chuka hun main
kursiyan khinch kar mere nazdik
apne mazi pe sochne wale
dastan bun rahe hain mazi ki
kaTkaTate hue wo chilghoze
chhil kar munh mein Dalte jaen
aur shoalon se khelte jaen
yaad aaen jo shoala-ru lamhe
jhurriyon se aTe hue chehre
ek pal ke liye damak uThen
aaKHiri lau charagh ki jaise
phir unhin kursiyon mein dhans jaen
band aankhon se mashq karte rahen
hashr tak gahri nind sone ki
Nazm
Aatish-dan
Ameen Rahat Chugtai