bas ek rah pahunchti thi shahzadi tak
wo rah jis mein hazaron the pahre-dar khaDe
phir us ke baad haweli ke sat darwaze
magar kamal the shahzadgan-e-waqt bhi jo
safed ghoDon pe ho kar sawar nikle aur
haweliyon se chura lae apni shahzadi
ye ek main ki tumhaari gali mein jab bhi baDha
meri ana ka purana sa ek darwaza
mere qadam ko gali hi mein rok leta hai
Nazm
AaTHwan darwaza
Muzaffar Abdali