zat ki aasudgi ke sab jatan karta rahun
taeron ke sang uD kar
aasman ki jhilmilati nilgun si god mein iKHlas ki garmi
mohabbat ki tapish ko
har ghaDi main DhunDhta phirta rahun
ya kabhi apne KHayalon ki rida oDhe
main dharti ke khule sine pe sar rakh kar
aur apni banhen us ke gard lipTane ki koshish mein
jahan bhar ke gile-shikwe ghane baalon mein
aankhon se chhine moti samajh ke Dalta jaya karun
ya kabhi main na-rasai ke samundar mein
kisi chhoTi si machhli ki tarah
apne tahaffuz aur apni zindagani ko
KHushi ke KHub-surat aasmani sat rangon ke
kisi nadida sanche mein
badal dene ka aisa makr-o-fan karta rahun
zat ki aasudgi ke sab jatan karta rahun
Nazm
Aasuda haali ke jatan
Jamshed Afaq