ai kali tujh ko hamara bhi KHayal aa hi gaya
hum to mayus hue baiThe the sahraon mein
ab tera rup bhi dhundla sa chala tha dil mein
tu bhi ek yaad si thi jumla hasinaon mein
tah-ba-tah gard se aalud tha din ka daman
raat ka nam na aata tha tamannaon mein
raqs-e-shabnam ki parastar nigahon ke liye
dhup ke abr the KHurshid ki bauchhaaren thin
aasman zard tha jaise koi yarqan ka mariz
jis ke takiye ke liye ret ki dastaren thin
dil bhara rahta tha jalte hue chhaale ki tarah
ruh ke waste diwaren hi diwaren thin
koi aawaz na aati thi ba-juz saut-e-muhib
koi naghma na tha chilon ke tarannum ke siwa
sara andaz tha phaile hue dariyaon ka
reg-e-sahra ke samundar mein talatum ke siwa
KHushk patton ka namak ret ke zarron ki miThas
honT sab zaiqe rakhte the tarannum ke siwa
kab tak is dil ki lagan ras na aati aaKHir
muskuraata hua gardun pe hilal aa hi gaya
apne diwanon ko sine se lagane ke liye
ek ghazal-paikar o afsana-jamal aa hi gaya
ai falak tu ne hamein KHak se aaKHir ko chuna
ai kali tujh ko hamara bhi KHayal aa hi gaya
Nazm
Aasman zard tha
Mustafa Zaidi