hamari aankh mein nokile kanTe
aur badan mein
zahr ke neze taraazu ho chuke the
jab siyah shab ne
gulabi subh ke gharqab hone ki KHabar par
hum se fauri tabsira manga
hamare honT
itne KHushk,
aur itne darida the
ki hum ek lafz bhi kahte
to reza reza ho jate
qalam hathon mein kya lete
ki apne hath pahle hi qalam the
(kya suKHan kahte
kahan likhte, kise likhte)
so ahl-e-jah ne
jo tabsira (jo qatl-nama) samne rakkha
hum ahl-e-sabr ne
KHun-rang honTon ki darida mehr
us par sabt kar di
Nazm
Aasar-e-qadima se nikla ek nawishta
Hasan Abbas Raza