ek ru-pahli si choTi par
jagmag jagmag jag raha hai aas-mahal
unchi unchi rang-rangili diwaren hain
chaaron jaanib har patthar par
mani aur bahzad se baDh kar
nae anokhe naqsh bane hain
diwaren hain kitni anokhi
jin mein lakhon taq bane hain
in taqon mein meri aankhen
larzan larzan dipak ban kar
har-dam jalti rahti hain
aur ye mere nirmal aansu
Dare Dare se sahme sahme chehre ban kar
jaane kis ko jhankte hain aur chhup jate hain
baDe baDe aaseb-zada in kamron mein
bhuli-bisri yaaden us ki
dabe dabe panw chalti hain
jin ki aahaT ruh ke sune dalanon tak
chiKHen ban kar aati hai
jaane kab se aas-mahal se
main aankhen aur aansu ban kar
viran viran suna suna
andha rasta dekh raha hun
Nazm
Aas-mahal
Rashid Hasan Rana