اردو हिंदी
Aariyon ki pahli aamad hindostan mein | Shaahi Shayari
aariyon ki pahli aamad hindostan mein

Nazm

Aariyon ki pahli aamad hindostan mein

Wahiduddin Saleem

;

wo dekh ki maujen raqs-kunan hain sath-e-zamin par ganga ki
nau-warid aariya hairat mein hain dekh ke shan is dariya ki

gangotari se aati hai chali, aThkheliyan karti dhaar is ki
aazadi hai tewar se ayan matwali hai raftar is ki

uttar ki taraf jab uThti hai is qafila-e-maghrib ki nazar
paDti hui kirnen suraj ki hain dekhte barf ke tudon par

har qulla-e-koh-e-himaliya par azmat ke hain baadal chhae hue
sinon ko hain tane dew khaDe ambar se siron ko milae

bargad ke daraKHton se jangal phaile hain pahaD ke daman mein
shaKHen hain jo un ki saya-fagan zulmat ka saman hai har ban mein

phirte hain wo fil-e-mast yahan hai dew ka jin ke qad pe guman
ye kali ghaTa jab dauDti hai aata hai nazar haibat ka saman

hain rang-ba-rang ke phul khile zinat hai chaman ke shabab un ka
khola hai nasim-e-sahar ne abhi kis shan se band naqab un ka

aate hain musafir hind mein jo KHaibar ke daron se utar ke abhi
dekhe the unhon ne lala-o-gul pamir ki wadi mein na kabhi

tair bhi yahan paida hain kiye qudrat ne ajab gul-rang-o-hasin
gar zamzame un ki raushni sun len yaad aae unhin firdaus-e-barin

indr ke akhaDe ki pariyan gati hain jo dil-kash ragniyan
ye loch suron mein un ke nahin ye soz gulon mein un ke kahan

suraj ki chamakti hui kirnen hain chheDti ThanDi hawaon ko
bhar deti hain nur-o-hararat se baghon ko aur un ki fazaon ko

soti hui sauten chashmon ki uThti hain sab aankhen mal mal kar
dhaaren hain jo barf ke pani ki aati hain pahaDon se chal kar

ai aariyon qadam rakho in hasan bhare gulzaron mein
jannat ke maze luToge sada is pak zamin ki bahaaron mein

tum gang-o-jaman ke kinaron par shahr apne nae aabaad karo
ga ga ke bhajan kar kar ke hawan ho jao magan dil-shad karo