na rakh niyam mein rahne de be-niyam abhi
tu is ko hath mein kuchh der aur tham abhi
kuchh aur lena hai KHanjar se tujh ko kaam abhi
adu ka kaam hua hai kahan tamam abhi
muhafiz-e-watan aaram hai haram abhi
abhi to chhai hui hai ufuq pe gham ki ghaTa
abhi to shoala-fishan hai himaliya ki faza
abhi to chalti hai sarhad par tund-o-tez hawa
sukun ka KHwab hai yak surKHiyan-e-KHam abhi
muhafiz-ewatan aaram hai haram abhi
abhi to jama hai sarhad pe lashkar-e-aghyar
abhi to aankhen dikhata hai ghasib-e-ghaddar
abhi to mail shar hai junun-e-fitna-shiar
use pilana hai zahr-e-ajal ka jam abhi
muhafiz-e-watan aaram hai haram abhi
koi kalam nahin hai teri shujaat mein
na aai panw mein laghzish hazar aafat mein
tu pesh pesh raha hai watan ki KHidmat mein
magar hai dur bahut amn ka maqam abhi
muhafiz-e-watan aaram hai haram abhi
uThe jo fitna-e-taza use dabana hai
sitam-taraaz ko maidan se bhagana hai
abhi to hamle ka badla tujhe chukana hai
na la zaban pe aaram ka tu nam abhi
muhafiz-e-watan aaram hai haram abhi
Nazm
Aaram hai hamara
Qais Jalandhari