sawaliya nishan ki qatar mein khaDe hue mufakkiro!
jawab do
wo kaun, kaisa, kis liye, kahan pe, kab se, kab talak?
sawal-e-shash-jahat ka jawab koi ab talak?
magar yahan kushad-e-chashm-o-lab kisi ke bas mein hai
sawal tak rasai jab muhaal hai
to himmat-e-jawab kis ke bas mein hai
wo kis ki dastaras mein hai
jo marifat ke lab khule
to pattharon ki barishon se suliyan lahuluhan ho gain
agar kisi payambar-e-azim ki nazar uThi
nigah bazgasht-e-na-murad ki shikastagi ke war se
basiraton ke zoam mein basarten bhi jal gain
to Thik hai
tumhein kushad-e-chashm-o-lab ki lazzaton ki kya KHabar
so tum hanuz barzaKH-e-tazabzub-o-guman mein paDe raho
mufakkiro!
sawaliya nishan ki qatar mein khaDe raho
Nazm
Aaraf
Syed Mubarak Shah