ehtajaji muzahire ke dauran
idhar udhar bhagte hue
logon ke beach saDak par phaTne wale
aansu gas ke shel ki tarah
aap ki nazmen paDhte hue
aankhon mein jalan hone lagti hai
gale mein KHarashen paD jati hain
nak se be-tahasha pani bahne lagta hai
bhagne wale logon ki tarah
dil bahut zor se dhaDakne lagta hai
apni haaliya nazmon mein
siwrej pipe ke sath
chalne wali KHud-raw belon ke bajae
aap gande pani ka zikr kar rahe hain
railway line ke aas pas
khilne wale phulon ke bajae express train par
na-malum dakuon ki firing ka zikr
KHatre ki alamat hai
aur kolhi auraton ke KHilaf police operation ki baat to
intihai pareshan-kun hai
world-cup ki KHushi mein
hawai firing se halak hone wali
aurat ki maut mahz ittifaqiya thi
aap us ki yaad mein nare-bazi na karen
qaed-e-hazb-e-iKHtilaf ki tarah
aap ko hamari har policy se iKHtilaf hai
aap ke liye hamara har aaini qadam ghair aaini hai
aur hamari har peshkash qubul
aap ko hamari har baat par ghussa aata hai
aur hamein KHair chhoDen
aap ki nai nazm ka har lafz
kirae ke gorilon ki banduqon se
nikalne wali goliyon ki tarah hai
hum aap ko ek saza-yafta dahshat bana sakte hain
ya ek ghair-mulki agnet qarar de sakte hain
aap ghaddar bhi ho sakte hain
magar filhaal hamare liye
aap ek ishtial-angez shair hain
Nazm
Aap ek ishtial-angez shair hain
Zeeshan Sahil