zamane ke sahra mein galle se bichhDi hui bheD
tanha pasheman hirasan hirasan
ummid o mohabbat ki ek jot aankhon mein apni jagae
har ek rah-rau ki taraf dekhti hai
ki in mein hi shayad koi mere galle ka bhi pasban ho
magar is bayaban mein shayad sarab aur parchhaiyon ke siwa
kuchh nahin hai
mujhe kaun sine se apne lagae
ki isa to muddat hui aasmanon mein gum ho chuke hain!
Nazm
Aap-biti
Iftikhar Aazmi