اردو हिंदी
Aao ki koi KHwab bunen | Shaahi Shayari
aao ki koi KHwab bunen

Nazm

Aao ki koi KHwab bunen

Sahir Ludhianvi

;

aao ki koi KHwab bunen kal ke waste
warna ye raat aaj ke sangin daur ki

Das legi jaan o dil ko kuchh aaise ki jaan o dil
ta-umr phir na koi hasin KHwab bun saken

go hum se bhagti rahi ye tez-gam umar
KHwabon ke aasare pe kaTi hai tamam umar

zulfon ke KHwab honTon ke KHwab aur badan ke KHwab
mearaj-e-fan ke KHwab kamal-e-suKHan ke KHwab

tahzib-e-zindagi ke farogh-e-watan ke KHwab
zindan ke KHwab kucha-e-dar-o-rasan ke KHwab

ye KHwab hi to apni jawani ke pas the
ye KHwab hi to apne amal ki asas the

ye KHwab mar gae hain to be-rang hai hayat
yun hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayat

aao ki koi KHwab bunen kal ke waste
warna ye raat aaj ke sangin daur ki

Das legi jaan o dil ko kuchh aaise ki jaan o dil
ta-umr phir na koi hasin KHwab bun sakin