jo arsa pahle TuT gaya
kuchh yaaden un mein baqi hain
fariyaaden bhi kuchh baqi hain
shahnai ka hai koi maddham sur
un diwaron mein gunj raha
aao chalen us khanDar mein
jo arsa pahle TuT gaya
kuchh sae hamare bachpan ke
kuchh yaad hamare logon ki
is khanDar se wabasta hain
thi naqsh bahut si taswiren
is khanDar ki diwaron par
tum jaante ho wo kis ki thin
kuchh bachchon ki kuchh buDhon ki
kuchh mere apne bachpan ki
aao chalen us khanDar mein
jo arsa pahle TuT gaya
aur
sath bahut kuchh luT gaya
wo dekh rahe ho banjar til
is khanDar ka wo hissa tha
tab sahn use hum kahte the
sab mil ke us mein rote the
sham ki aksar chae hum
us ja par baiTh ke pite the
aao chalen us hisse mein
jahan baiTh ke hum sab paDhte the
shor machaya karte the
aur sab ko hansaya karte the
kabhi laDte the kabhi rote the
ye dekho ye jo miTTi hai
hum is mein khela karte the
aur ghanTon khela karte the
wo dekho wo TuTi DewDhi
mere ghar ki chaukhaT hai
har sal naya sa rang koi
hum log chaDhate the is par
jaante ho ye khanDar kabhi
aabaad bhi tha shadab bhi tha
hum log isi mein rahte the
ye ghar tha hamara pyara sa
aur pyare pyare log bahut se
sath hamare rahte the
hum jashn manaya karte the
un chahne wale logon ke
lahje ki lahak aankhon ki chamak
qadmon ki dhamak
us ghar ki faza mein gunj rahi
tum ghaur karo aahista chalo
ye khanDar nahin hai ghar hai mera
is gardish-e-dauran ne jis ko
yun luT liya barbaad kiya
main lauT ke ab jo aai hun
asbab bahut se lai hun
par sunne wala koi nahin
nayab hue wo log sabhi
wo aankhen thak ke mund bhi gai
jo raat ko jaga karti thin
ab ye to bas ek khanDar hai
aao chalen is khanDar mein
Nazm
Aao chalen us khanDar mein
Asra Rizvi