jab se ki mohabbat hui pyare hain ye aansu
jaise ki meri aankh ke tare hain ye aansu
kahte ho ki lillah ab aansu na girao
aise mein ki jine ke sahaare hain ye aansu
han han unhen daman-e-mohabbat mein jagah do
aankhen hain meri aur tumhaare hain ye aansu
har KHun-e-jigar ke liye tayyar hun ab bhi
haara hun na main aur na haare hain ye aansu
simab hain jab tak ki hain ye qalb-o-jigar mein
aankhon mein jab aae to sitare hain ye aansu
bechain umangon ne na samjha hi na dekha
betab jawani ke nazare hain ye aansu
gham wo hai jo har chiz ko pighla ke baha de
pani nahin sayyal sharare hain ye aansu
masum nigahon ko nibhate hain ye aksar
poshida mohabbat ke ishaare hain ye aansu
gham-KHwar hain mere liye shab-ha-e-alam mein
aaKHir to gham-e-dost ke mare hain ye aansu
Nazm
Aansu
Nushur Wahidi