jab hum daraKHt banna chahte hain
aur ban jate hain
lekin
hum kisi ko saya nahin de pate
koi parinda hamari shaKHon par git nahin gata
koi gilahri hamare tane mein apna ghar nahin banati
hamari konpalon par kabhi os nahin chamakti
aur hazaron sal tak hamein dimak nahin lagti
jab hum rasta ban jaana chahte hain
aur ban jate hain ek pul
aur sari zindagi
ek hi jagah guzar dete hain
aur sab hamein par kar ke zindagi bhar ke liye
bichhaDte rahte hain
kisi KHana-jangi mein hamein aag nahin lagti
aur hamare TukDe dur dur tak
ek sath nahin bahte
jab hum samundar banna chahte hain
aur mahz ek aansu ban ke
kisi rumal mein jagah bana lete hain
aur koi use sine se nahin lagata
apni kalai par nahin bandhta
koi use jala ke rakh
kisi zaKHm mein nahin bharta
jab hum ek kahani banna chahte hain
aur sirf ek lafz ban ke
sard honTon se ada hote hain
aur phir hamesha KHalaon mein bhaTakte rahte hain
ya faza mein gunjte rahte hain
ya shayad ye lafz dil ki gahrai se
kabhi bahar nahin nikal pata
aur hamesha ke liye
hamari tarah
faramosh kar diya jata hai
Nazm
Aansu ki wajh
Zeeshan Sahil