sare manzar ek jaise
sari duniya ek si
nashpati ke daraKHton se
khajuron ki ghani shaKHon talak
duniya achanak ek jaisi ho gai hai
misr ke ahram ki mahzun fazaen
dam-ba-KHud hain kufa o baghdad ke bazar mein
kazimain o mashhad-e-earaq se nauhe nikal kar
sarhad-e-labnan tak pahunche hue hain
shahr-e-dilli ke andhere
zulmat-e-lahore se milne lage hain
shor kabul ka sunai deta hai
bartania ki mahfilon mein
KHwahish-e-newyark zinda hoti hai
Dhake ki purani dilruba galiyon mein
goya sari duniya ek jaisi ho gai hai
sare manzar ek se
ujDi hui aankhon mein sare KHwab
yaadon ka fusun ummid ke sare fasurda aaftab
ek ho sakte hain
aao in se mil-mila kar ek jahan-e-taza-tar paida karen
in lahu ki bundon se
raste sajaen
aansuon ke ratjagon se aarzu-e-chashm-e-tar paida karen
Nazm
Aansuon ke ratjagon se
Ain Tabish