اردو हिंदी
Aankhon ki tajdid | Shaahi Shayari
aankhon ki tajdid

Nazm

Aankhon ki tajdid

Ahmad Javed

;

aaKHir kar mere dost
tum ne aankhon ki tajdid ka faisla kar hi Dala

an-dekhe ki did ijad karne ke liye
tum ne kaise daryaft kiya ki chizen

ek asil nigah ke qabil nahin rahin
ye sari kaenat ek sapaT taswir hai

jis se utni jagah bhi nahin bhari ja sakti
jo tumhaare canwas mein KHilqatan maujud hai

tum ne behtar jaana ki aankhon par se
kuchh parten utar do

ta-ki wo dekh len kaise ijad kiya jata hai
wo manzar jahan har shai nae sire se

mashhur aur masnua aur maujud hai