wo ek nannhi si laDki
barf ke gale se nazuk-tar
hawa mein jhulti shaKHon ki KHushbu
us ka lahja tha
chamakte paniyon jaisi subuk-rau
us ki baaten thin
wo uDti titliyon ke rang pahne
jab mujhe takti
to aankhen mich leti
magar ab wo nahin hai
barf ke gale bhi ghaeb hain
hawa mein jhulti shaKHon mein
lahja hai na KHushbu hai
chamakte paniyon par tairte hain
khaDkhaDate zard-ru patte
wo uDti titliyan jin ke paron par
us ki rangat thi
KHuda jaane kahan kis haal mein hain
main har ujDe hue mausam mein
us ko yaad karta hun
to aankhen mich leta hun
Nazm
Aankh-micholi
Shahzad Ahmad