aankh hi dard pahchanti hai
main is route par
paheli gaDi ka mehman tha
be-tarah ghumti gend par ab nafas jitne anfas ka aur mehman hai
un ki ginti meri dastan mein nahin
KHak ki naf se KHak ke batn tak
chand saat ki raushni
poshishen battiyan taza model club
taza-ruKH gaDi aur ban aur gul-chehra interpreter
yahi chaar-aina chehra
ki chehre mein taswir-e-ayyam se
raunaqon mein base is tilismat mein
din jo viran kaTe
jo shishen ghani raat mein kho gain
so gain
aasmanon pe KHali ka chand
nak-naqsha bikharne pe qadir hua
jis ki tahwil mein do munde daere aankh ke hain
faqat aankh ke hath par naqsh hain aankh KHali nahin

Nazm
Aankh hi dard pahchanti hai
Ehsan Akbar