اردو हिंदी
Aangan mein ek sham | Shaahi Shayari
aangan mein ek sham

Nazm

Aangan mein ek sham

Mazhar Imam

;

sham ki
lamha lamha

utarti hui
dhund mein

sar jhukae hue ghar ke
KHamosh aangan mein baiThe hue

meri wamanda aaankhon ki jalti hui ret se
ek bipharte samundar ki aawara lahren achanak ulajhne lagin

sham ki
rasta rasta

utarti hui dhund mein
is bipharte samundar ki aawara lahron ko

chori chhupe
dafn karna paDa

us khanDar mein
jahan murda sadiyon ke bhaTke hue rah-rau

chiKHte phirte hain
apni hi khoj mein

KHauf ka sanp
rag rag mein KHun ki tarah sarsaraata raha

raat ke chand be-kar lamhat ki raaz-dan
dekh pae na biphre samundar ki aawara lahron ka chehra kahin

aur puchhe mohabbat se israr se
ye baiThe-biThae tumhein kya hua

kuchh mujhe bhi kaho