chalo ek wada karte hain
ki hum aur aap sab bhi
zehn aur dil ki kudurat saf karte hain
be-imani par diyanat kibr par iKHlas ko
nafraton ke zahr par pyar ki miThas ko
hum ghaalib karte hain
chalo hum ye bhi karte hain
ki ahl-e-haq ko un ka haq dilate hain
jo mujrim hain unhen mujrim hi kahte hain
fareb-o-maslahat ko aap bhi aur hum bhi chhoDen
qadam boson ke bhayanak ghol ko jo dimak-o-jarasim ki surat
nizam-e-fikr-o-fan barbaad karta hai
use hum dur rakhte hain use mazmum kahte hain
suna hai jis zamin jis qaum se sachchai jati hai
to us ke sath hi iman aur insaf jata hai
to apne taur par in tinon ko hum thame rakhte hain
chalo hum aisa karte hain
zaif-o-tifl ko bahu ko beTiyon ko man ko hum mushtarka kahte hain
dharm aur zat ke
qasrat-o-qillat ke sare phulon ko chun kar
unhen KHush-rang karte hain hasin mala pirote hain
chalo hum aisa karte
ye tohfa aane wali nasl ko hum pesh karte hain
Nazm
Aane wali nasl ka tohfa
Abu Bakr Abbad