اردو हिंदी
Aana hai to aa rah mein kuchh pher nahin hai | Shaahi Shayari
aana hai to aa rah mein kuchh pher nahin hai

Nazm

Aana hai to aa rah mein kuchh pher nahin hai

Sahir Ludhianvi

;

aana hai to aa rah mein kuchh pher nahin hai
bhagwan ke ghar der hai andher nahin hai

jab tujh se na suljhen tere uljhe hue dhande
bhagwan ke insaf pe sab chhoD de bande

KHud hi teri mushkil ko wo aasan karega
jo tu nahin kar paya wo bhagwan karega

kahne ki zarurat nahin aana hi bahut hai
is dar pe tera sis jhukana hi bahut hai

jo kuchh hai tere dil mein sabhi us ko KHabar hai
bande tere har haal pe malik ki nazar hai

bin mange hi milti hain yahan man ki muraden
dil saf ho jin ka wo yahan aa ke sada den

milta hai jahan nayay wo darbar yahi hai
sansar ki sab se baDi sarkar yahi hai