bhaari buTon-tale raundte jaiye
konpalon ke badan aahaTon ke diye
bhaari buTon-tale raundte jaiye
resman bandh kar KHwab hanste rahe
habs ki tal par sans chalte rahe
chahiye aap ko aur kya chahiye
bhaari buTon-tale raundte jaiye
sham lau ko liye raat sahne gai
dard ki oDhni KHak pahne gai
Dhanpiye shauq se har kiran Dhanpiye
bhaari buTon-tale raundte jaiye
bhuk maslub jismon ko karne lagi
zaKHm bahne lage aas marne lagi
aap ko kya gharaz hum mare ya jiye
bhaari buTon-tale raundte jaiye
sirf KHane badalne se kya faeda
chand name badalne se kya faeda
hum pyaada-safar the payaade rahe
bhaari buTon-tale raundte jaiye
Nazm
Aamriyat ka qasida
Sarwat Zehra