hamari sanson ki jalwa-gah mein
wo sare chehre
yugon ke pahre
jo sat pani ke par ja kar
base hue hain
phir aaj sayyal satah par
jhilmila rahe hain
sarab ke aainon mein
hona na hona apna dikha rahe hain
qarib aa kar hamein bahut dur
KHud se bahar bula rahe hain
aur hum ye chehre
ragon ke sahil pe naqsh jaise saja chuke hain
jahan hamara koi nahin hai
wahin pe pahle se aa chuke hain

Nazm
Aamad
Riyaz Latif