diye abhi nahin jale
daraKHt baDhti tirgi mein chhup chale
parind qafilon mein Dhal ke uD chale
hawa hazar marg-e-arzu ka ek gham liye
chali pahaDiyon ki samt ruKH kiye
khule samundaron pe kashtiyon ke baadban khule
sawad-e-shahr ke khanDar
gae dinon ki KHushbuon se bhar gae
akeli KHwab-gah mein
kisi hasin-nigah mein
alam mein lipTi chahaten warud-e-shab se jag uThin
hai dil ko bekali siyah raat aaegi
jilau mein dukh ki lag ko liye hue
nagar nagar pe chhaegi

Nazm
Aamad-e-shab
Muneer Niyazi