اردو हिंदी
Aam-nama | Shaahi Shayari
aam-nama

Nazm

Aam-nama

Akbar Allahabadi

;

nama na koi yar ka paigham bhejiye
is fasl mein jo bhejiye bas aam bhejiye

aisa zarur ho ki unhen rakh ke kha sakun
puKHta agarche bis to das KHam bhejiye

malum hi hai aap ko bande ka address
sidhe allahabad mere nam bhejiye

aisa na ho ki aap ye likkhen jawab mein
tamil hogi pahle magar dam bhejiye