bayaz chori hui hai janab-e-'ali' ki
bayaz-chor ne chori baDi misali ki
zarur chor koi sariq-e-adab hoga
use bayaz churane ka KHas Dhab hoga
main aise chor ki danish-wari pe hun hairan
jo ek raat mein ban baiTha sahab-e-diwan
janab-e-'ali' ke column the jitne matbua
samajh ke chhoD gaya un ko nasr-e-mamnua
ajib chor tha nasri kalam chhoD gaya
bayaz le gaya column tamam chhoD gaya
ghazal ke sath gai masnawi bhi doha bhi
tamam shahr ne mana tha jis ka loha bhi
chhupa hua tha jo shair nikal raha hoga
wo is bayaz ke maqte badal raha hoga
janab-e-'ali' ki fikr-e-jamil thi ye bayaz
rubaiyon mein baDi KHud-kafil thi ye bayaz
jis anjuman mein ye jati thi hashr karti thi
adab ke sath siyasat bhi nashr karti thi
mushaeron mein ba-sad ehtiram aati thi
yahi bayaz musibat mein kaam aati thi
isi bayaz se dohon ko aazmana tha
wo shaKH hi na rahi jis pe aashiyana tha
Nazm
Aali-ji ki gum-shuda bayaz
Khalid Irfan