uTho ki waqt KHatm ho gaya
tamash-binon mein tum aaKHiri hi rah gae ho
ab chalo
yahan se aasman tak tamam shahr chadaren lapeT li gain
zamin sang-reza saKHt
dant si safed malgaji dikhai de rahi hai har taraf
tumhein jahan guman-e-sabza tha
wo jhalak rahi hai kohna kaghazon ki barf
wo jo chale gae unhen to iKHtitamiye ke sab siyah manzaron ka ilm tha
wo pahle aae the isi liye wo aqalmand the tumhein
to subh ka pata na sham ki KHabar tumhein to
itna bhi pata nahin ki khel KHatm ho to us ko sham
kahte hain ai nanhe shaiqan-e-raqs
ab gharon ko jao
Nazm
AaKHiri tamashai
Shamsur Rahman Faruqi