siyahi ban ke chhaya shahr par shaitan ka fitna
gunahon se lipaT kar so gaya insan ka fitna
panahen husn ne pain siyahkari ke daman mein
wafadari hui ru-posh nadari ke daman mein
mayassar hain zari ke shamiyane KHush-nasibi ko
oDha di saya-e-diwar ne chadar gharibi ko
mashaqqat ko sikha kar KHubiyan KHidmat-guzari ki
huin be-KHauf be-imaniyan sarmaya-dari ki
liya aaghosh mein phulon ki sijon ne amiri ko
muhayya KHak hi ne kar diye aasan faqiri ko
taDapna chhoD kar chup ho gae ji haarne wale
maze ki nind soe taziyane marne wale
wo ruhani wo jismani uqubat kam hui aaKHir
ghulami beDiyon ke bojh se be-dam hui aaKHir
hue fariyaadiyon par band aiwanon ke darwaze
ki KHud muhtaj-e-darban hain jahan-banon ke darwaze
isi andaz se ja soi ghaflat baadshahon ki
surur o kaif ban kar chha gain ninden gunahon ki
sharaben KHatm kar ke ho gae KHamosh hangame
bil-aKHir nind aai so gae pur-josh hangame
thama jab zindagi ka josh parKHash-e-ajal jagi
amal ko dekh kar madhosh padash-e-amal jagi
uThaya maut ne patthar jahannam ke dahane se
jahan aatish ka dariya kholta tha ek zamane se
bulandi se tabahi ke samundar ne kiya dhawa
chaTanon ke jigar se phuT nikla aatshin-lawa
dikha di aag aiwanon ko mazlumi ki aahon ne
uThae shola-ha-e-atshin bekas nigahon ne
unhen muKHtar ban kar bekasi ke KHun ki maujen
hisar-e-marg ne mahsur kar lin jang jo faujen
na husn o ishq ne pai aman qahr-e-ilahi se
dabi padash amiri se faqiri se na shahi se
sitaron ki nigahon ne dhuan uThta hua dekha
magar KHurshid ne kuchh bhi na miTTi ke siwa dekha
Nazm
AaKHiri raat
Hafeez Jalandhari