zamin ki ye qaus jis pe tu muztarib khaDi hai
ye rasta jis pe main tere intizar mein hun
zamin ki us qaus par ufuq par qatar andar qatar lamhat ke parinde
hamare hisse ke sabz patte sunahri minqar mein liye jagti KHalaon mein
uD rahe hain
zamin ki us qaus par ufuq par hai na-basar-karda zindagi ki wo fasl jis ka
hamein har ek peD kaTna hai
ye chand jis par qadam hai tera
ye shahd jis par zaban hai meri
ye sabz lamhe ye kirmak-e-shab usi gulistan ke mausam-e-abr ke samar hain
jahan hawaon ke tez tufan muntazir hain ki aaKHiri peD
kab girega
Nazm
AaKHiri peD kab girega
Akhtar Husain Jafri