zamin
jis se mujh ko shikayat rahi hai
ki wo sab ke hisse mein hai kuchh na kuchh
ek mere siwa
zamin
jis pe rahna hi kar-e-abas tha
wahi chhoDni paD rahi hai
to main itna ghabra raha hun
ki ab
meri yak-rang roz aur shab
mah aur sal ki
sari uktahaTen kya huin

Nazm
AaKHiri nazm
Rashid Jamaal Farooqi