le jao daraKHton ko le jao
mere kis kaam ke ye daraKHt
le jao
main to mar raha hun
mere sath jaane wale
kuchh hi log to hain
main ne baat ki in raston se
ki jo raste nahin the
phir main nadi mein Dub gaya
mujhe nahin malum tha ki mujhe is tarah
aari se kaT diya jaega
ki daraKHton mein bhi
mera shumar nahin hoga
main nind ke aaKHiri hisse mein khaDa hun
ek mazdur
belche se meri taswir bana raha hai
raat guzar rahi hai
ki us ke guzarne se pahle bhi
ek raat guzar chuki hai
main bhala kis raat ka hisab dun
mujhe marne walon mein
mera lahu bhi shamil hoga
ye mujhe malum nahin tha
main mar raha hun
ki mujhe marne wali zat
meri riDh ki haDDi se
kalam kar chuki hai
us ne mujhe baTan Tankne wali mamuli sui se chhed ke
jaankani se guzar diya hai
magar us se pahle
mujh se ye bhi nahin puchha
ki main kisi jahan mein
zinda tha bhi ya nahin
qadim kansi ke bartanon
mere nam par bahae hue
aansuon ka ek KHazana to mahfuz hai
aur is KHazane hi par to main ne israr kiya
kyunki main jaanta hun
ki ye duniya
kewal ek chinta ghar hai
is mein hazaron sal se rahne wale ko bhi
rahne ke liye
ek pal bhi mayassar nahin
kyunki ek ek pal ka
dam chukana paDta hai
pahaD ek zarre ke hathon
bik jata hai
main mar raha hun
magar is se pahle
main ne ek iltija ki hai
ki mujhe ek ek pal ka
dam chuka ke marne diya jae
mere nam ke
an-ginat nam darj hain
Thik hai
mere wo tamam alfaz hi to
akarat gae na
jo mahz ek jhuT ke nam
likhe gae
magar ab kuchh jaanne ke liye
rah kya gaya hai
ki agar mera sach itna baDa tha
tu use chhoTa karne ke liye
syahi se bhari dawat
qalam-dan se pare
kyun ulaT di gai
main mar raha hun
magar mujhe ek ek pal ka
dam chuka ke marne diya jae
aur ek daraKHt bhi
bach gaya hai
to le jao ise le jao
Nazm
AaKHiri mukalima
Ahmad Hamesh